shishe ke is taraf se main sab ko tak raha hun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
Jaun Eliya
shab jo hum se hua muaf karo
nahin pi thi bahak gae honge
Jaun Eliya
shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka
mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai
Jaun Eliya
sham hui hai yar aae hain yaron ke hamrah chalen
aaj wahan qawwali hogi 'jaun' chalo dargah chalen
Jaun Eliya
sab se pur-amn waqia ye hai
aadmi aadmi ko bhul gaya
Jaun Eliya
paDi rahne do insanon ki lashen
zamin ka bojh halka kyun karen hum
Jaun Eliya
mujh se ab log kam hi milte hain
yun bhi main haT gaya hun manzar se
Jaun Eliya
mujhe ab hosh aata ja raha hai
KHuda teri KHudai ja rahi hai
Jaun Eliya
mujhe ab tum se Dar lagne laga hai
tumhein mujh se mohabbat ho gai kya
Jaun Eliya

