'jaun' duniya ki chaakari kar ke
tu ne dil ki wo naukri kya ki
Jaun Eliya
jism mein aag laga dun us ke
aur phir KHud hi bujha dun us ko
Jaun Eliya
jo guzari na ja saki hum se
hum ne wo zindagi guzari hai
Jaun Eliya
jurm mein hum kami karen bhi to kyun
tum saza bhi to kam nahin karte
Jaun Eliya
kaam ki baat main ne ki hi nahin
ye mera taur-e-zindagi hi nahin
Jaun Eliya
kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi
tu ne to hum se aaj tak koi gila nahin kiya
Jaun Eliya
kal ka din hae kal ka din ai 'jaun'
kash is raat hum bhi mar jaen
Jaun Eliya
kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
roz ek chiz TuT jati hai
Jaun Eliya
kaun se shauq kis hawas ka nahin
dil meri jaan tere bas ka nahin
Jaun Eliya

