اردو हिंदी
Jaun Eliya Shayari | Shaahi Shayari

Jaun Eliya Shers

159 Shers

ab to us ke bare mein tum jo chaho wo kah Dalo
wo angDai mere kamre tak to baDi ruhani thi

Jaun Eliya




ab to har baat yaad rahti hai
ghaaliban main kisi ko bhul gaya

Jaun Eliya


Tags: | Yaad | | 2 Lines Shayari |


ab nahin milenge hum kucha-e-tamanna mein
kucha-e-tamanna mein ab nahin milenge hum

Jaun Eliya




ab meri koi zindagi hi nahin
ab bhi tum meri zindagi ho kya

Jaun Eliya




ab ki jab jaanana tum ko hai sabhi par e'tibar
ab tumhein jaanana mujh par e'tibar aaya to kya

Jaun Eliya


Tags: | 2 Lines Shayari |


ab KHak uD rahi hai yahan intizar ki
ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the

Jaun Eliya




ab jo rishton mein bandha hun to khula hai mujh par
kab parind uD nahin pate hain paron ke hote

Jaun Eliya


Tags: | 2 Lines Shayari |


aaKHiri baat tum se kahna hai
yaad rakhna na tum kaha mera

Jaun Eliya


Tags: | 2 Lines Shayari |


aaj mujh ko bahut bura kah kar
aap ne nam to liya mera

Jaun Eliya


Tags: | 2 Lines Shayari |