ai subh main ab kahan raha hun
KHwabon hi mein sarf ho chuka hun
Jaun Eliya
apna rishta zamin se hi rakkho
kuchh nahin aasman mein rakkha
Jaun Eliya
apne andar hansta hun main aur bahut sharmata hun
KHun bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chaalaki thi
Jaun Eliya
apne sab yar kaam kar rahe hain
aur hum hain ki nam kar rahe hain
Jaun Eliya
apne sabhi gile baja par hai yahi ki dilruba
mera tera moamla ishq ke bas ka tha nahin
Jaun Eliya
apne sar ek bala to leni thi
main ne wo zulf apne sar li hai
Jaun Eliya
aur kya chahti hai gardish-e-ayyam ki hum
apna ghar bhul gae un ki gali bhul gae
Jaun Eliya
aur to kya tha bechne ke liye
apni aankhon ke KHwab beche hain
Jaun Eliya
ahut katra rahe hu mughbachon se
gunah-e-tark-e-baada kar liya kya
Jaun Eliya