ek bar us ne bulaya tha to masruf tha main
jite-ji phir kabhi bari hi nahin aai meri
Farhat Ehsas
duniya se kaho jo use karna hai wo kar le
ab dil mein mere wo alal-elan rahega
Farhat Ehsas
do alag lafz nahin hijr o visal
ek mein ek ki goyai hai
Farhat Ehsas
dhup boli ki main aabai watan hun tera
main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahin di
Farhat Ehsas
dar-asl is jahan ko zarurat nahin meri
har-chand is jahan ke liye na-guzir main
Farhat Ehsas
chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai
aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai
Farhat Ehsas
e-badan ruh bane phirte rahoge kab tak
jao chupke se kisi jism mein daKHil ho jao
Farhat Ehsas
as ek lams ki jal jaen sab KHas-o-KHashak
ise visal bhi kahte hain KHush-bayani mein
Farhat Ehsas
ek bose ke bhi nasib na hon
honTh itne bhi ab gharib na hon
Farhat Ehsas