as ek lams ki jal jaen sab KHas-o-KHashak
ise visal bhi kahte hain KHush-bayani mein
Farhat Ehsas
aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par
main bhi ek shaKH si rakhta hun shajar karne ko
Farhat Ehsas
acha ke laen kisi bhi yatim bachche ko
aur us ke hath se taKHliq-e-kainat karen
Farhat Ehsas
aDa wasia hai us ke jamal ka manzar
wo aaine mein to bas muKHtasar sa rahta hai
Farhat Ehsas
aurten kaam pe nikli thin badan ghar rakh kar
jism KHali jo nazar aae to mard aa baiThe
Farhat Ehsas
ai sadaf sun tujhe phir yaad dila deta hun
main ne ek chiz tujhe di thi guhar karne ko
Farhat Ehsas
ai KHuda meri ragon mein dauD ja
shaKH-e-dil par ek hari patti nikal
Farhat Ehsas
ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin
lagta hai raste mein kahin khul gaya badan
Farhat Ehsas
aankh bhar dekh lo ye virana
aaj kal mein ye shahr hota hai
Farhat Ehsas