hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein
akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main
Farhat Ehsas
har gali kuche mein rone ki sada meri hai
shahr mein jo bhi hua hai wo KHata meri hai
Farhat Ehsas
hamein jab apna taaruf karna paDta hai
na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai
Farhat Ehsas
hamein jab apna taaruf karana paDta hai
na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai
Farhat Ehsas
hamari aankhon mein bas gaya hai ajib punjab aansuon ka
idhar se rawi chala udhar se chanab tayyar ho raha hai
Farhat Ehsas
hamara zinda rahna aur marna ek jaisa hai
hum apne yaum-e-paidaish ko bhi barsi samajhte hain
Farhat Ehsas
farar ho gai hoti kabhi ki ruh meri
bas ek jism ka ehsan rok leta hai
Farhat Ehsas