kaun si aisi KHushi hai jo mili ho ek bar
aur ta-umr hamein jis ne aziyyat nahin di
Farhat Ehsas
tere honTon ke sahra mein teri aankhon ke jangal mein
jo ab tak pa chuka hun us ko khona chahta hun main
Farhat Ehsas
tamam shahr ki aankhon mein reza reza hun
kisi bhi aankh se uThta nahin mukammal main
Farhat Ehsas
tamam paikar-e-badsurti hai mard ki zat
mujhe yaqin hai KHuda mard ho nahin sakta
Farhat Ehsas
tabhi wahin mujhe us ki hansi sunai paDi
main us ki yaad mein palken bhigone wala tha
Farhat Ehsas
shusta zaban shagufta bayan honTh gul-fishan
sari hain tujh mein KHubiyan urdu zaban ki
Farhat Ehsas
sar salamat liye lauT aae gali se us ki
yar ne hum ko koi Dhang ki KHidmat nahin di
Farhat Ehsas
saKHt taklif uThai hai tujhe jaanne mein
is liye ab tujhe aaram se pahchante hain
Farhat Ehsas
an na paya hir, ranjha ab bhi ranjha hai bahut
dekh waris-shah teri hir aadhi rah gai
Farhat Ehsas