اردو हिंदी
Dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di | Shaahi Shayari
dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di

Ghazal

Dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di

Farhat Ehsas

;

dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di
dasht mein aql na di shahr mein wahshat nahin di

ishq tu aaj bhi hai kis ke lahu se sarsabz
kis muhim ke liye hum ne tujhe ujrat nahin di

dhup boli ki main aabai watan hun tera
main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahin di

ishq mein ek baDa zulm hai sabit-qadami
waqt ne bhi hamein is bab mein qudrat nahin di

sar salamat liye lauT aae gali se us ki
yar ne hum ko koi Dhang ki KHidmat nahin di

kaun si aisi KHushi hai jo mili ho ek bar
aur ta-umr hamein jis ne aziyyat nahin di

ahl-e-dil ne kabhi maKHlut hukumat na banai
aql walon ne bhi be-shart himayat nahin di

'farhat-ehsas' to hum KHud hi bane hain warna
farhat-ullah ne kabhi is ki ijazat nahin di