TuTa to hun magar abhi bikhra nahin 'faraaz'
mere badan pe jaise shikaston ka jal ho
Ahmad Faraz
ujaD ghar mein ye KHushbu kahan se aai hai
koi to hai dar-o-diwar ke alawa bhi
Ahmad Faraz
umr bhar kaun nibhata hai talluq itna
ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe
Ahmad Faraz
us ka kya hai tum na sahi to chahne wale aur bahut
tark-e-mohabbat karne walo tum tanha rah jaoge
Ahmad Faraz
us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
Ahmad Faraz
wo apne zoam mein tha be-KHabar raha mujh se
use KHabar hi nahin main nahin raha us ka
Ahmad Faraz
wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai
ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi
Ahmad Faraz
wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind
main zaKHm zaKHm hun phir bhi gale lagaun use
Ahmad Faraz
wo samne hain magar tishnagi nahin jati
ye kya sitam hai ki dariya sarab jaisa hai
Ahmad Faraz