so dekh kar tere ruKHsar o lab yaqin aaya
ki phul khilte hain gulzar ke alawa bhi
Ahmad Faraz
suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf
so hum bhi mojaze apne hunar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
tana-e-nashsha na do sab ko ki kuchh soKHta-jaan
shiddat-e-tishna-labi se bhi bahak jate hain
Ahmad Faraz
tamam umr kahan koi sath deta hai
ye jaanta hun magar thoDi dur sath chalo
Ahmad Faraz
tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi
KHud ko ganwa ke kaun teri justuju kare
Ahmad Faraz
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aaj tanha hun to koi nahin aane wala
Ahmad Faraz