اردو हिंदी
Usne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya | Shaahi Shayari
usne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya

Ghazal

Usne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya

Ahmad Faraz

;

us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya
hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya

aamad-e-dost ki nawed ku-e-wafa mein aam thi
main ne bhi ek charagh sa dil sar-e-sham rakh diya

shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya

us ne nazar nazar mein hi aise bhale suKHan kahe
main ne to us ke panw mein sara kalam rakh diya

dekho ye mere KHwab the dekho ye mere zaKHm hain
main ne to sab hisab-e-jaan bar-sar-e-am rakh diya

ab ke bahaar ne bhi kin aisi shararten ki bas
kabk-e-dari ki chaal mein tera KHiram rakh diya

jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha
us ne to sare shahr ko kar ke ghulam rakh diya

aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe
maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya