mujh se bichhaD ke tu bhi to roega umr bhar
ye soch le ki main bhi teri KHwahishon mein hun
Ahmad Faraz
munsif ho agar tum to kab insaf karoge
mujrim hain agar hum to saza kyun nahin dete
Ahmad Faraz
muntazir kis ka hun TuTi hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane wala
Ahmad Faraz
na manzilon ko na hum rahguzar ko dekhte hain
ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain
Ahmad Faraz
na mere zaKHm khile hain na tera rang-e-hina
mausam aae hi nahin ab ke gulabon wale
Ahmad Faraz
na shab o roz hi badle hain na haal achchha hai
kis barhaman ne kaha tha ki ye sal achchha hai
Ahmad Faraz
na tera qurb na baada hai kya kiya jae
phir aaj dukh bhi ziyaada hai kya kiya jae
Ahmad Faraz
na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui
so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain
Ahmad Faraz
naseha tujh ko KHabar kya ki mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai
Ahmad Faraz