اردو हिंदी
Saqiya ek nazar jam se pahle pahle | Shaahi Shayari
saqiya ek nazar jam se pahle pahle

Ghazal

Saqiya ek nazar jam se pahle pahle

Ahmad Faraz

;

saqiya ek nazar jam se pahle pahle
hum ko jaana hai kahin sham se pahle pahle

nau-giraftar-e-wafa sai-e-rihai hai abas
hum bhi uljhe the bahut dam se pahle pahle

KHush ho ai dil ki mohabbat to nibha di tu ne
log ujaD jate hain anjam se pahle pahle

ab tere zikr pe hum baat badal dete hain
kitni raghbat thi tere nam se pahle pahle

samne umr paDi hai shab-e-tanhai ki
wo mujhe chhoD gaya sham se pahle pahle

kitna achchha tha ki hum bhi jiya karte the 'faraaz'
ghair-maruf se gumnam se pahle pahle