samne umr paDi hai shab-e-tanhai ki
wo mujhe chhoD gaya sham se pahle pahle
Ahmad Faraz
saqi ye KHamoshi bhi to kuchh ghaur-talab hai
saqi tere mai-KHwar baDi der se chup hain
Ahmad Faraz
saqiya ek nazar jam se pahle pahle
hum ko jaana hai kahin sham se pahle pahle
Ahmad Faraz
sab KHwahishen puri hon 'faraaz' aisa nahin hai
jaise kai ashaar mukammal nahin hote
Ahmad Faraz
shahr-walon ki mohabbat ka main qael hun magar
main ne jis hath ko chuma wahi KHanjar nikla
Ahmad Faraz
shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya
Ahmad Faraz
silsile toD gaya wo sabhi jate jate
warna itne to marasim the ki aate jate
Ahmad Faraz
silwaTen hain mere chehre pe to hairat kyun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahna
Ahmad Faraz
sitam to ye hai ki zalim suKHan-shanas nahin
wo ek shaKHs ki shaer bana gaya mujh ko
Ahmad Faraz