tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin
rahmat ka irada bigDa hai barsat ki niyyat Thik nahin
Abdul Hamid Adam
taklif miT gai magar ehsas rah gaya
KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya
Abdul Hamid Adam
taKHliq-e-kaenat ke dilchasp jurm par
hansta to hoga aap bhi yazdan kabhi kabhi
Abdul Hamid Adam
tabah ho ke haqaeq ke khurdure-pan se
tasawwuraat ki tamir kar raha hun main
Abdul Hamid Adam
taDap kar main ne tauba toD Dali
teri rahmat pe ilzam aa raha tha
Abdul Hamid Adam
so bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai
ab to rah rah ke sitaron ko bhi nind aati hai
Abdul Hamid Adam
sirf ek qadam uTha tha ghalat rah-e-shauq mein
manzil tamam umr mujhe DhunDti rahi
Abdul Hamid Adam
sirf ek qadam uTha tha ghalat rah-e-shauq mein
manzil tamam umr mujhe DhunDhti rahi
Abdul Hamid Adam
shikan na Dal jabin par sharab dete hue
ye muskuraati hui chiz muskura ke pila
Abdul Hamid Adam