اردو हिंदी
Abdul Hamid Adam Shayari | Shaahi Shayari

Abdul Hamid Adam Shers

90 Shers

mashhur ek sawal kiya tha karim ne
mujh se wahan bhi aap ki tarif ho gai

Abdul Hamid Adam


Tags: | 2 Lines Shayari |


marne wale to KHair hain bebas
jine wale kamal karte hain

those who are dying can little else contrive
I am truly amazed at those who can survive

Abdul Hamid Adam


Tags: | 4 Lines Shayari |


mai-kada hai yahan sakun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati

Abdul Hamid Adam




main yun talash-e-yar mein diwana ho gaya
kabe mein panw rakkha to but-KHana ho gaya

Abdul Hamid Adam


Tags: | 2 Lines Shayari |


main umr bhar jawab nahin de saka 'adam'
wo ek nazar mein itne sawalat kar gae

Abdul Hamid Adam




main mai-kade ki rah se ho kar nikal gaya
warna safar hayat ka kafi tawil tha

Abdul Hamid Adam




main bad-nasib hun mujh ko na de KHushi itni
ki main KHushi ko bhi le kar KHarab kar dunga

Abdul Hamid Adam




main aur us ghuncha-dahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha

Abdul Hamid Adam




log kahte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe
tum jo kahte ho ki wahshat hai to wahshat hogi

Abdul Hamid Adam