aankh ka e'tibar kya karte
jo bhi dekha wo KHwab mein dekha
Abdul Hamid Adam
aankhon se pilate raho saghar mein na Dalo
ab hum se koi jam uThaya nahin jata
Abdul Hamid Adam
aap ek zahmat-e-nazar to karen
kaun behosh ho nahin sakta
Abdul Hamid Adam
'adam' roz-e-ajal jab qismaten taqsim hoti thin
muqaddar ki jagah main saghar-o-mina uTha laya
Abdul Hamid Adam
ai dost mohabbat ke sadme tanha hi uThane paDte hain
rahbar to faqat is raste mein do gam sahaara dete hain
Abdul Hamid Adam
ai gham-e-zindagi na ho naraaz
mujh ko aadat hai muskurane ki
Abdul Hamid Adam
aur to dil ko nahin hai koi taklif 'adam'
han zara nabz kisi waqt Thahar jati hai
Abdul Hamid Adam
az auqat kisi aur ke milne se 'adam'
apni hasti se mulaqat bhi ho jati hai
Abdul Hamid Adam
aDh ke tufan ko aaghosh mein le le apni
Dubne wale tere hath se sahil to gaya
Abdul Hamid Adam