shauqiya koi nahin hota ghalat
is mein kuchh teri raza maujud hai
Abdul Hamid Adam
muddaa dur tak gaya lekin
aarzu lauT kar nahin aai
Abdul Hamid Adam
mujhe tauba ka pura ajr milta hai usi saat
koi zohra-jabin pine pe jab majbur karta hai
Abdul Hamid Adam
naujawani mein parsa hona
kaisa kar-e-zabun hai pyare
Abdul Hamid Adam
pahle baDi raghbat thi tere nam se mujh ko
ab sun ke tera nam main kuchh soch raha hun
Abdul Hamid Adam
phir aaj 'adam' sham se ghamgin hai tabiat
phir aaj sar-e-sham main kuchh soch raha hun
Abdul Hamid Adam
pir-e-mughan se hum ko koi bair to nahin
thoDa sa iKHtilaf hai mard-e-KHuda ke sath
Abdul Hamid Adam
saqi mere KHulus ki shiddat ko dekhna
phir aa gaya hun gardish-e-dauran ko Tal ka
Abdul Hamid Adam
saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand
mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye
the charge of being affected by wine, I do despise
I want to be accused of feasting from your eyes
Abdul Hamid Adam