ishwa bhi hai shoKHi bhi tabassum bhi haya bhi
zalim mein aur ek baat hai is sab ke siwa bhi
Akbar Allahabadi
jo kaha main ne ki pyar aata hai mujh ko tum par
hans ke kahne laga aur aap ko aata kya hai
laughing, she inquired when, I said "I love you"
is there anything else at all that you know to do
Akbar Allahabadi
faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
Allama Iqbal
puchha jo un se chand nikalta hai kis tarah
zulfon ko ruKH pe Dal ke jhaTka diya ki yun
Arzoo Lakhnavi
sath shoKHi ke kuchh hijab bhi hai
is ada ka kahin jawab bhi hai
Dagh Dehlvi
shoKHi se Thaharti nahin qatil ki nazar aaj
ye barq-e-bala dekhiye girti hai kidhar aaj
Dagh Dehlvi
parda-e-lutf mein ye zulm-o-sitam kya kahiye
hae zalim tera andaz-e-karam kya kahiye
Firaq Gorakhpuri