hamari muskurahaT par na jaana
diya to qabr par bhi jal raha hai
Aanis Moin
aur bhi kitne tariqe hain bayan-e-gham ke
muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo
Abdul Aziz Fitrat
jaise pau phaT rahi ho jangal mein
yun koi muskurae jata hai
Ahmad Mushtaq
wahan salam ko aati hai nange panw bahaar
khile the phul jahan tere muskurane se
Ahmad Mushtaq
mere habib meri muskurahaTon pe na ja
KHuda-gawah mujhe aaj bhi tera gham hai
Ahmad Rahi
wo muskura ke koi baat kar raha tha 'shumar'
aur us ke lafz bhi the chandni mein bikhre hue
Akhtar Shumar
ab aur is ke siwa chahte ho kya 'mulla'
ye kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya
Anand Narayan Mulla