paDe the hum bhi jahan raushni mein bikhre hue
kai sitare mile us gali mein bikhre hue
meri kahani se pahle hi jaan le pyare
ki hadse hain meri zindagi mein bikhre hue
dhanak si aankh kahe bansuri ki lai mein mujhe
sitare DhunD ke la naghmagi mein bikhre hue
main pur-sukun rahun jhil ki tarah yani
kisi KHayal kisi KHamushi mein bikhre hue
wo muskura ke koi baat kar raha tha 'shumar'
aur us ke lafz bhi the chandni mein bikhre hue
Ghazal
PaDe the hum bhi jahan raushni mein bikhre hue
Akhtar Shumar