tere pahlu mein tere dil ke qarin rahna hai
meri duniya hai yahi mujh ko yahin rahna hai
kaam jo umr-e-rawan ka hai use karne de
meri aankhon mein sada tujh ko hasin rahna hai
dil ki jagir mein mera bhi koi hissa rakh
main bhi tera hun mujhe bhi to kahin rahna hai
aasman se koi utra na sahifa na sahi
tu mera din hai mujhe sahib-e-din rahna hai
jaise sab dekh rahe hain mujhe us tarah na dekh
mujh ko aankhon mein nahin dil mein makin rahna hai
phul mahkenge yunhi chand yunhi chamkega
tere hote hue manzar ko hasin rahna hai
main teri saltanat-e-husn ka bashinda hun
mujh ko duniya mein kahin aur nahin rahna hai
Ghazal
Tere pahlu mein tere dil ke qarin rahna hai
Ashfaq Husain