hum tere KHwabon ki jannat se nikal kar aa gae
dekh tera qasr-e-ali-shan KHali kar diya
Aitbar Sajid
kisi rais ki mahfil ka zikr hi kya hai
KHuda ke ghar bhi na jaenge bin bulae hue
Ameer Minai
waqt ke sath badalna to bahut aasan tha
mujh se har waqt muKHatib rahi ghairat meri
Ameer Qazalbash
izn-e-KHiram lete hue aasman se hum
haT kar chale hain rahguzar-e-karwan se hum
Asrar-ul-Haq Majaz
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai
Fani Badayuni
kya malum kisi ki mushkil
KHud-dari hai ya KHud-bini
Hairat shimlavii
gard-e-shohrat ko bhi daman se lipaTne na diya
koi ehsan zamane ka uThaya hi nahin
Hasan Nayeem