اردو हिंदी
Ek to KHud apni ghamgini | Shaahi Shayari
ek to KHud apni ghamgini

Ghazal

Ek to KHud apni ghamgini

Hairat shimlavii

;

ek to KHud apni ghamgini
us par un ki nukta-chini

apni shirini bhi talKHi
un ki talKHi bhi shirini

khul jaega ye bhi ek din
kis ne kis ki rahat chhini

kafi hai kya ye kah dena
sab haalat ki hai sangini

kar nahin sakti hum ko qail
sirf ibarat ki rangini

hai ye wafa wo jurm-e-mohabbat
hai jis ki padash yaqini

kya malum kisi ki mushkil
KHud-dari hai ya KHud-bini

aap ki rae aali kya hai
din hai behtar ya be-dini

kya kahna is hosh-o-KHirad ka
sujhti hai jis ko shauqini

apne daman ko bhi dekhen
ho manzur jinhen gul-chini

achchhe-achchhon ko ai 'hairat'
le Dubi hai be-aini