oe baghair chaara na rone ki tab hai
kya chiz uf ye kaifiyat-e-iztirab hai
Akhtar Ansari
hole ban kar haal na puchh bahte hain ashk to bahne do
jis se baDhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do
Arzoo Lakhnavi
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
Azad Ansari
lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein
my heart, these dismal ruins, cannot now placate
who can find sustenance in this unstable state
Bahadur Shah Zafar
kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere
taDapte hain fughan karte hain aur karwaT badalte hain
Bhartendu Harishchandra
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil
itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin
Firaq Gorakhpuri
dil ko KHuda ki yaad tale bhi daba chuka
kam-baKHt phir bhi chain na pae to kya karun
Hafeez Jalandhari