aashiqi ho ki bandagi 'faKHir'
be-dili se to ibtida na karo
worship, love whatever be
begin it not half-heartedly
Sudarshan Faakhir
dekhne walo tabassum ko karam mat samjho
unhen to dekhne walon pe hansi aati hai
do not deem her smile to be a sign of grace
she mocks those poor souls who've looked upon her face
Sudarshan Faakhir
dil to rota rahe or aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi riwayat ne dil toD diya
no tears were permissible though weeping be the heart
in love's domain such cruel customs tore my heart apart
Sudarshan Faakhir
hum se puchho na dosti ka sila
dushmanon ka bhi dil hila dega
Sudarshan Faakhir
hum to samjhe the ki barsat mein barsegi sharab
aai barsat to barsat ne dil toD diya
showers of wine, I did think, would come with rainy clime
but alas when it did rain my heart broke one more time
Sudarshan Faakhir
har taraf zist ki rahon mein kaDi dhup hai dost
bas teri yaad ke sae hain panahon ki tarah
Sudarshan Faakhir
ishq hai ishq ye mazaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo
love is love, no joke at all
Rashly, do not make a call
Sudarshan Faakhir
mera qatil hi mera munsif hai
kya mere haq mein faisla dega
my killer is himself my judge upon this day
how then will he decide in my favour pray?
Sudarshan Faakhir
mere dukh ki koi dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo
my sorrows no one should allay
keep not me from my self away
Sudarshan Faakhir