aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
Rahat Indori
ab to har hath ka patthar hamein pahchanta hai
umr guzri hai tere shahr mein aate jate
Rahat Indori
ahut ghurur hai dariya ko apne hone par
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan uD jaen
Rahat Indori
imar ko maraz ki dawa deni chahiye
main pina chahta hun pila deni chahiye
Rahat Indori
otalen khol kar to pi barson
aaj dil khol kar bhi pi jae
Rahat Indori
collage ke sab bachche chup hain kaghaz ki ek naw liye
chaaron taraf dariya ki surat phaili hui bekari hai
Rahat Indori
dosti jab kisi se ki jae
dushmanon ki bhi rae li jae
Rahat Indori
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yari rakho
Rahat Indori
ghar ke bahar DhunDhta rahta hun duniya
ghar ke andar duniya-dari rahti hai
Rahat Indori