aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
rah ke patthar se baDh kar kuchh nahin hain manzilen
raste aawaz dete hain safar jari rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yari rakho
aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein
kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe
nind rakho ya na rakho KHwab meyari rakho
ye hawaen uD na jaen le ke kaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho
le to aae shairi bazar mein 'rahat' miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho
Ghazal
Aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
Rahat Indori