aankh kis lafz pe bhar aai hai
kaun si baat pe dil TuTa hai
Khalid Sharif
aaj kuchh rang digar hai mere ghar ka 'KHalid'
sochta hun ye teri yaad hai ya KHud tu hai
Khalid Sharif
aaj se ek dusre ko qatl karna hai hamein
tu mera paikar nahin hai main tera saya nahin
Khalid Sharif
aasman jhank raha hai 'KHalid'
chand kamre mein mere utra hai
Khalid Sharif
ichhDa kuchh is ada se ki rut hi badal gai
ek shaKHs sare shahr ko viran kar gaya
Khalid Sharif
'KHalid' main baat baat pe kahta tha jis ko jaan
wo shaKHs aaKHirash mujhe be-jaan kar gaya
Khalid Sharif
nakaam hasraton ke siwa kuchh nahin raha
duniya mein ab dukhon ke siwa kuchh nahin raha
Khalid Sharif
wo to gaya ab apni ana ko sameT le
ai gham-gusar dast-e-dua ko sameT le
Khalid Sharif
zaKHm risne laga hai phir shayad
yaad us ne kiya hai phir shayad
Khalid Sharif