aankh lagti nahin 'jurat' meri ab sari raat
aankh lagte hi ye kaisa mujhe aazar laga
Jurat Qalandar Bakhsh
aankh uTha kar use dekhun hun to nazron mein mujhe
yun jatata hai ki kya tujh ko nahin Dar mera
Jurat Qalandar Bakhsh
aankh uTha kar use dekhun hun to nazron mein mujhe
yun jatata hai ki kya tujh ko nahin Dar mera
Jurat Qalandar Bakhsh
aage tha dil hi mera ab hai khuda aap ka nam
zauq se samajhiye aap is ko nagina apna
Jurat Qalandar Bakhsh
aaj ghera hi tha use main ne
kar ke iqrar mujh se chhuT gaya
Jurat Qalandar Bakhsh
aalam-e-masti mein mere munh se kuchh nikla jo raat
bol uTha tewari chaDha kar wo but-e-mai-KHwar chup
Jurat Qalandar Bakhsh
aaluda-ba-KHun chashm se Tapke hai jo aansu
sab kahte hain hairat se ye moti hai ki munga
Jurat Qalandar Bakhsh
aastin-e-mauj dariya se juda hoti nahin
rabt tera chashm se kyun aastin jata raha
Jurat Qalandar Bakhsh
aaya tha shab ko chhup ke wo rashk-e-chaman so aah
phaili ye ghar mein bu ki mohalla mahak gaya
Jurat Qalandar Bakhsh