us zulf pe phabti shab-e-dijur ki sujhi
andhe ko andhere mein baDi dur ki sujhi
Jurat Qalandar Bakhsh
wan se aaya hai jawab-e-KHat koi suniyo to zara
main nahin hun aap main mujh se na samjha jaega
Jurat Qalandar Bakhsh
wah main aur na aane ko kahunga tauba
main to hairan hun ye baat aap ne farmai kya
Jurat Qalandar Bakhsh
warasta kar diya jise ulfat ne bas wo shaKHs
kab dam-e-kufr o rishta-e-islam mein phansa
Jurat Qalandar Bakhsh
yun qatre mere KHun ke us tegh se guzre
jun fauj ka pul par se ho dushwar utara
Jurat Qalandar Bakhsh
zahida zohd-o-riyazat ho mubarak tujh ko
kyun ki taqwa se miyan meri to bahbud nahin
Jurat Qalandar Bakhsh
zahida zohd tu paDha, main ishq
hai meri aur teri kitab mein farq
Jurat Qalandar Bakhsh
yun uThe wo bazm mein tazim ko ghairon ki hae
ham-nashin tu baiTh yan hum se na baiTha jaega
Jurat Qalandar Bakhsh
ye aag laga di ki nahin anjum-o-aflak
ye dagh pe hai dagh ye chhaale pe hai chhaala
Jurat Qalandar Bakhsh