jab talak hum na chahte the tujhe
tab tak aisa tera jamal na tha
Jurat Qalandar Bakhsh
jahan ke bagh mein hum bhi bahaar dikhlate
ye rang-e-ghuncha jo apni girah mein zar hota
Jurat Qalandar Bakhsh
jahan kuchh dard ka mazkur hoga
hamara sher bhi mashhur hoga
Jurat Qalandar Bakhsh
jald KHu apni badal warna koi kar ke tilism
aa ke dil apna tere dil se badal jaunga
Jurat Qalandar Bakhsh
jaldi talab-e-bosa pe kije to kahe wah
aisa ise kya samjhe ho tum munh ka niwala
Jurat Qalandar Bakhsh
jis nur ke bakke ko mah-o-KHur ne na dekha
kam-baKHt ye dil loTe hai us parda-nashin pa
Jurat Qalandar Bakhsh
jo aaj chaDhate hain hamein arsh-e-barin par
do din ko utarenge wahi log zamin pa
Jurat Qalandar Bakhsh
jo ki sajda na kare but ko mere mashrab mein
aaqibat us ki kisi taur se mahmud nahin
Jurat Qalandar Bakhsh
kafir hun jo mahram pe bhi hath us ke laga ho
mashhur ghalat mahram-e-asrar hue hum
Jurat Qalandar Bakhsh