us shaKHs ne kal haton hi haton mein falak par
sau bar chaDhaya mujhe sau bar utara
Jurat Qalandar Bakhsh
us ghar ke dar pe jab hue hum KHak tab khula
darwaza aane jaane ko aur yan hai dusra
Jurat Qalandar Bakhsh
tujh sa jo koi tujh ko mil jaega to baaten
meri tarah se tu bhi chupka suna karega
Jurat Qalandar Bakhsh
sabhi inam nit pate hain ai shirin-dahan tujh se
kabhu tu ek bose se hamara munh bhi miTha ka
Jurat Qalandar Bakhsh
shayad usi ka zikr ho yaro main is liye
sunta hun gosh-e-dil se har ek mard-o-zan ki baat
Jurat Qalandar Bakhsh
shagird-e-rashid aap sa hun shaiKH-ji sahib
kuchh ilm o amal tum ne na shaitan mein chhoDa
Jurat Qalandar Bakhsh
sar dije rah-e-ishq mein par munh na moDiye
patthar ki si lakir hai ye koh-kan ki baat
Jurat Qalandar Bakhsh
oun to KHush ho ke piye hai wo mai
samjhe hai mausam ise barsat ka
Jurat Qalandar Bakhsh
akhe hai lazzat-e-bosa se mujh ko gar mahrum
to apne tu bhi na honTon talak zaban pahuncha
Jurat Qalandar Bakhsh