kahiye kyunkar na use baadshah-e-kishwar-e-husn
ki jahan ja ke wo baiTha wahin darbar laga
Jurat Qalandar Bakhsh
kaifiyat mahfil-e-KHuban ki na us bin puchho
us ko dekhun na to phir de mujhe dikhlai kya
Jurat Qalandar Bakhsh
kal us sanam ke kuche se nikla jo shaiKH-e-waqt
kahte the sab idhar se ajab barhaman gaya
Jurat Qalandar Bakhsh
kar leta hun band aankhen main diwar se lag kar
baiThe hai kisi se jo koi pyar se lag ka
Jurat Qalandar Bakhsh
khae so pachhtae aur pachhtae wo bhi jo na khae
ye gham-e-ishq-e-butan laDDu hai goya bor ka
Jurat Qalandar Bakhsh
KHalal ek paD gaya nahaq gul o bulbul ki sohbat mein
abas khola tha tu ne bagh mein ai gul badan apna
Jurat Qalandar Bakhsh
KHuban-e-jahan ki hai tere husn se KHubi
tu KHub na hota to koi KHub na hota
Jurat Qalandar Bakhsh
ki be-zari falak ne hawale najib ke
paji har ek sahab-e-zar aae hai naza
Jurat Qalandar Bakhsh
kisht-e-dil fauj-e-gham ne ki taraj
tis pe tu mangne KHiraj aaya
Jurat Qalandar Bakhsh