e-saya na ho jae kahin ghar mera yarab
kuchh din se main jhukta ye shajar dekh raha hun
Javed Naseemi
chand ka qurb laga kaisa chalo puchh aaen
aasmanon ke safar se wo palaT aaya hai
Javed Naseemi
dar-ba-dar ho gae tabir ki dhun mein kitne
in hasin KHwabon se baDh kar koi saffak nahin
Javed Naseemi
dekhna chhoDe nahin KHwab meri aankhon ne
pura har-chand koi KHwab nahin ho paya
Javed Naseemi
ek chehra hai jo aankhon mein basa rahta hai
ek tasawwur hai jo tanha nahin hone deta
Javed Naseemi
girne wala hai mera bojh sambhaale koi
apne aansu meri palkon se uTha le koi
Javed Naseemi
jise na aane ki qasmen main de ke aaya hun
usi ke qadmon ki aahaT ka intizar bhi hai
Javed Naseemi
miT jaane ke aasar wirasat mein mile hain
girte dar-o-diwar wirasat mein mile hain
Javed Naseemi
muddat hui ki zinda hun dekhe baghair use
wo shaKHs mere dil se utar to nahin gaya
Javed Naseemi