gai thi kah ke main lati hun zulf-e-yar ki bu 
phiri to baad-e-saba ka dimagh bhi na mila
Jalal Lakhnavi
ek raat dil-jalon ko ye aish-e-visal de 
phir chahe aasman jahannam mein Dal de 
just one night give these deprived the joy of company 
thereafter if you wish merge paradise and purgatory
Jalal Lakhnavi
ishq ki choT ka kuchh dil pe asar ho to sahi 
dard kam ho ya ziyaada ho magar ho to sahi
Jalal Lakhnavi
'jalal' ahd-e-jawani hai doge dil sau bar 
abhi ki tauba nahin e'tibar ke qabil
Jalal Lakhnavi
jis ne kuchh ehsan kiya ek bojh sar par rakh diya 
sar se tinka kya utara sar pe chhappar rakh diya 
anyone who did a favour placed a burden on my head 
removed a straw from over me, and placed a mountain instead
Jalal Lakhnavi
na ho barham jo bosa be-ijazat le liya main ne 
chalo jaane do betabi mein aisa ho hi jata hai
Jalal Lakhnavi
na KHauf-e-ah buton ko na Dar hai nalon ka 
baDa kaleja hai in dil dukhane walon ka 
unafraid of soullful sighs, undaunted by the cries 
these who break peoples hearts,
Jalal Lakhnavi
pahunche na wahan tak ye dua mang raha hun 
qasid ko udhar bhej ke dhyan aae hai kya kya
Jalal Lakhnavi
wada kyun bar bar karte ho 
KHud ko be-e'tibar karte ho
Jalal Lakhnavi

