aapas ki guftugu mein bhi kaTne lagi zaban
ab doston se tark-e-mulaqat chahiye
Jafar Tahir
ai watan jab bhi sar-e-dasht koi phul khila
dekh kar tere shahidon ki nishani roya
Jafar Tahir
arsa-e-zulmat-e-hayat kaTe
ham-nafas muskura ki raat kaTe
Jafar Tahir
ek umr bhaTakte hue guzri hai junun mein
ab kaun fareb-e-nigah-e-yar mein aae
Jafar Tahir
jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ek taza bahaar
dekh kar main teri taswir purani roya
Jafar Tahir
naz har but ke uTha pae na 'jafar-tahir'
chum kar chhoD diye hum ne ye bhaari pattha
Jafar Tahir
'tahir' KHuda ki rah mein dushwariyan sahi
ishq-e-butan mein kaun si aasaniyan rahin
Jafar Tahir
tujhe bhi dekh liya hum ne o KHuda-e-ajal
ki tera zor chala bhi to ahl-e-gham pe chala
Jafar Tahir
uTThi thi pahli bar jidhar chashm-e-arzu
wo log phir mile na wo basti nazar paDi
Jafar Tahir