chheD kar tazkira-e-daur-e-jawani roya
raat yaron ko suna kar main kahani roya
zikr tha kucha o bazar ke hangamon ka
jaane kya soch ke wo yusuf-e-sani roya
ghairat-e-ishq ne kya kya na bahae aansu
sun ke baaten teri ghairon ki zabani roya
jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ek taza bahaar
dekh kar main teri taswir purani roya
chashm-e-arbab-e-wafa hai jo lahu roti hai
ghair phir ghair hai roya bhi to pani roya
teri mahki hui sanson ki lawen yaad aain
aaj to dekh ke main subh suhani roya
ai watan jab bhi sar-e-dasht koi phul khila
dekh kar tere shahidon ki nishani roya

Ghazal
ChheD kar tazkira-e-daur-e-jawani roya
Jafar Tahir