donon hathon mein uThae hue bhaari patthar
marne aae hain isa ko hawari patthar
main ne jo tere tasawwur mein tarashe the kabhi
le gae wo bhi mere ghar se pujari patthar
aadmi aaj kahin jae to kyunkar jae
sar pe sahra to zamin sari ki sari patthar
sab se pahle mere bhai ne hi phenka mujh par
pahla patthar hi mujhe ho gaya kari patthar
rahm ai gardish-e-dauran ye tamasha kya hai
phul se shanon pe karte hain sawari patthar
jab koi ghuncha khila koi kali chaTki hai
le ke pahunchi hai wahin baad-e-bahaari patthar
dil hai is aahu-e-darmanda-o-bekas ki tarah
marte hain jise mil mil ke shikari patthar
sina-e-sang se dariya nahin bahte dekhe
kaun kahta hai ki hain dard se aari patthar
naz har but ke uTha pae na 'jafar-tahir'
chum kar chhoD diye hum ne ye bhaari patthar

Ghazal
Donon hathon mein uThae hue bhaari patthar
Jafar Tahir