apni hi rawani mein bahta nazar aata hai
ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai
Inam Nadeem
ujh jaega ek roz teri yaad ka shola
lekin mere sine mein dhuan yun hi rahega
Inam Nadeem
dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho
andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai
Inam Nadeem
ek lamha lauT kar aaya nahin
ye baras bhi raegan ruKHsat hua
Inam Nadeem
hum Thahre rahenge kisi tabir ko thame
aankhon mein koi KHwab rawan yun hi rahega
Inam Nadeem
jiye garche isi duniya mein hum bhi
magar duniya hamari aur hi thi
Inam Nadeem
jo teri aarzu mujh ko na hoti
to koi dusra aazar hota
Inam Nadeem
kabhi lauT aaya main dasht se to ye shahr bhi
usi gard mein tha aTa hua mere samne
Inam Nadeem
KHamosh khaDa hun main dar-e-KHwab se bahar
kya jaaniye kab tak isi haalat mein rahunga
Inam Nadeem