hamein to intizari aur hi thi
magar baad-e-bahaari aur hi thi
sambhalta kya sambhaale se tumhaare
ki dil ko be-qarari aur hi thi
thi mere KHwab se bahar bhi duniya
magar sari ki sari aur hi thi
sabhi kuchh tha hamare dil ke bas mein
magar be-iKHtiyari aur hi thi
hamara dil koi shisha nahin tha
par ab ke sang-bari aur hi thi
jiye garche isi duniya mein hum bhi
magar duniya hamari aur hi thi

Ghazal
Hamein to intizari aur hi thi
Inam Nadeem