koi bagh sa saja hua mere samne
ki badan hai koi khila hua mere samne
wahi aankh hai ki sitara hai mere ru-ba-ru
ye charagh kya hai jala hua mere samne
meri KHwab-gah mein raat kaisa KHumar tha
koi jam sa tha dhara hua mere samne
main khaDa hua tha ajib wahm o guman mein
dar-e-KHwab shab tha khula hua mere samne
kabhi lauT aaya main dasht se to ye shahr bhi
usi gard mein tha aTa hua mere samne
mera rasta tere raste se alag hua
yahi rasta tha bacha hua mere samne
Ghazal
Koi bagh sa saja hua mere samne
Inam Nadeem