اردو हिंदी
Apni hi rawani mein bahta nazar aata hai | Shaahi Shayari
apni hi rawani mein bahta nazar aata hai

Ghazal

Apni hi rawani mein bahta nazar aata hai

Inam Nadeem

;

apni hi rawani mein bahta nazar aata hai
ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai

deta hai koi apne daman ki hawa us ko
shoala sa mere dil mein jalta nazar aata hai

us hath ka tohfa tha ek dagh mere dil par
wo dagh bhi ab lekin jata nazar aata hai

aankhon ke muqabil hai kaisa ye ajab manzar
sahra to nahin lekin sahra nazar aata hai

ek shakl si banti hai har shab meri nindon mein
ek phul sa KHwabon mein khilta nazar aata hai

aankhon ne nahin dekhi us jism ki ranai
ye chaar taraf jis ka saya nazar aata hai

dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho
andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai

phir zau mein 'nadim' apni kuchh kam hai sitara wo
ye raat ka aaina dhundla nazar aata hai