ab dilon mein koi gunjaish nahin milti 'hayat'
bas kitabon mein likkha harf-e-wafa rah jaega
Hayat Lakhnavi
chehre ko tere dekh ke KHamosh ho gaya
aisa nahin sawal tera la-jawab tha
Hayat Lakhnavi
har sada se bach ke wo ehsas-e-tanhai mein hai
apne hi diwar-o-dar mein gunjta rah jaega
Hayat Lakhnavi
muddaa hum apna kaghaz par raqam kar jaenge
waqt ke hathon mein apna faisla rah jaega
Hayat Lakhnavi
silsila KHwabon ka sab yunhi dhara rah jaega
ek din bistar pe koi jagta rah jaega
Hayat Lakhnavi
ye iltija dua ye tamanna fuzul hai
sukhi nadi ke pas samundar na jaega
Hayat Lakhnavi
ye jazba-e-talab to mera mar na jaega
tum bhi agar miloge to ji bhar na jaega
Hayat Lakhnavi