dar-o-diwar bhi ghar ke bahut mayus the hum se
so hum bhi raat is jagir se bahar nikal aae
Haseeb Soz
meri sanjida tabiat pe bhi shak hai sab ko
baz logon ne to bimar samajh rakkha hai
Haseeb Soz
tere mehman ke swagat ka koi phul the hum
jo bhi nikla hamein pairon se kuchal kar nikla
Haseeb Soz
tu ek sal mein ek sans bhi na ji paya
main ek sajde mein sadiyan kai guzar gaya
Haseeb Soz
wo ek raat ki gardish mein itna haar gaya
libas pahne raha aur badan utar gaya
Haseeb Soz
yahan mazbut se mazbut loha TuT jata hai
kai jhuTe ikaTThe hon to sachcha TuT jata hai
Haseeb Soz
ye bad-nasibi nahin hai to aur phir kya hai
safar akele kiya ham-safar ke hote hue
Haseeb Soz
ye intiqam hai ya ehtijaj hai kya hai
ye log dhup mein kyun hain shajar ke hote hue
Haseeb Soz