nazar na aae hum ahl-e-nazar ke hote hue
azab-e-KHana-ba-doshi hai ghar ke hote hue
ye kaun mujh ko kinare pe la ke chhoD gaya
bhanwar se bach gaya kaise bhanwar ke hote hue
ye intiqam hai ya ehtijaj hai kya hai
ye log dhup mein kyun hain shajar ke hote hue
tu is zamin pe do-gaz hamein jagah de de
udhar na jaenge hargiz idhar ke hote hue
ye bad-nasibi nahin hai to aur phir kya hai
safar akele kiya ham-safar ke hote hue
Ghazal
Nazar na aae hum ahl-e-nazar ke hote hue
Haseeb Soz