chand tare ek diya aur raat ka komal badan
subh-dam bikhre paDe the chaar su meri tarah
Aziz Nabeel
chupke chupke wo paDh raha hai mujhe
dhire dhire badal raha hun main
Aziz Nabeel
guzar raha hun kisi KHwab ke ilaqe se
zamin sameTe hue aasman uThae hue
Aziz Nabeel
hum qafile se bichhDe hue hain magar 'nabil'
ek rasta alag se nikale hue to hain
Aziz Nabeel
kisi se zehn jo milta to guftugu karte
hujum-e-shahr mein tanha the ham, bhaTak rahe the
Aziz Nabeel
main chhup raha hun ki jaane kis dam
utar Dale libas mujh ko
Aziz Nabeel
main kisi aankh se chhalka hua aansu hun 'nabil'
meri taid hi kya meri baghawat kaisi
Aziz Nabeel
musafiron se kaho apni pyas bandh rakhen
safar ki ruh mein sahra koi utar chuka hai
Aziz Nabeel
na jaane kaisi mahrumi pas-e-raftar chalti hai
hamesha mere aage aage ek diwar chalti hai
Aziz Nabeel