aankhon ke gham-kadon mein ujale hue to hain
buniyaad ek KHwab ki Dale hue to hain
talwar gir gai hai zamin par to kya hua
dastar apne sar pe sambhaale hue to hain
ab dekhna hai aate hain kis samt se jawab
hum ne kai sawal uchhaale hue to hain
zaKHmi hui hai ruh to kuchh gham nahin hamein
hum apne doston ke hawale hue to hain
go intizar-e-yar mein aankhen sulag uThin
rahon mein dur dur ujale hue to hain
hum qafile se bichhDe hue hain magar 'nabil'
ek rasta alag se nikale hue to hain
Ghazal
Aankhon ke gham-kadon mein ujale hue to hain
Aziz Nabeel