jis taraf chahun pahunch jaun masafat kaisi
main to aawaz hun aawaz ki hijrat kaisi
sunne walon ki samaat gai goyai bhi
qissa-go tu ne sunai thi hikayat kaisi
hum junun wale hain hum se kabhi puchho pyare
dasht kahte hain kise dasht ki wahshat kaisi
aap ke KHauf se kuchh hath baDhe hain lekin
dast-e-majbur ki sahmi hui baiat kaisi
phir nae sal ki sarhad pe khaDe hain hum log
rakh ho jaega ye sal bhi hairat kaisi
aur kuchh zaKHm mere dil ke hawale meri jaan
ye mohabbat hai mohabbat mein shikayat kaisi
main kisi aankh se chhalka hua aansu hun 'nabil'
meri taid hi kya meri baghawat kaisi
Ghazal
Jis taraf chahun pahunch jaun masafat kaisi
Aziz Nabeel